Cyber Crime Kya hai जाने इसके प्रकार | Cyber Crime Kya hai in Hindi

5/5 - (4 votes)

What is Cyber Crime kya hai in Hindi, Jamtara, अपराध से बचाव, रोकथाम, रोकने के विभिन्न तरीके, origin, types

Aaj ke samay mein phone aur laptop jaise सुविधाओं ka istemaal toh har koi karta hai. Ab laptop ho ya phone, bina internet ke istemaal karna toh डब्बा lagta hai. Internet ke baare mein toh aap sabhi jaante hi honge lekin cyber crime kya hai is baat se अनभिज्ञ ho sakte hai. Hum aapko bata dein ki देश-दुनिया mein bahut saare alag-alag crime hai, unhi mein se ek hai cyber crime jo phone aur laptop ke jariye kiya jaata hai. Aaj cyber crime ke baare mein hum aapko विस्तार se sabhi प्रकार ki jaankari pradaan karenge jisse aap jaan paayenge ki cyber crime hota kya hai aur iske kitne alag-alag prakaar hote hain.

क्या होता है Cyber Crime?

यदि aap bhi apni दिनचर्या ke व्यवसाय se jude अधिकतम kaam internet ke jariye karte hain toh cyber crime ke baare mein jaanna aapke liye behad आवश्यक hai. Kyunki internet hi ek aisa jariya hai jo देश-विदेश mein baithe logon ko aapas mein ek doosre ke saath jodne aur व्यवसाय ko badhaane ka kaam karta hai. Aise mein धीरे-धीरे cyber crime bhi badhta ja raha hai. Yadi saral shabdon mein baat ki jaaye toh cyber crime ek aisa crime hai jismein kuch अपराधी aapke phone aur internet se kuch alag prakaar ke software ka istemaal karke cyber crime ko अंजाम dete hain.

वे un software aur kuch विभिन्न prakar ke खतरनाक तरंग ke jariye aapke phone aur laptop se aapka sabhi prakar ka private data chura lete hain, use hi cyber crime kaha jata hai.

Cyber Crime ke अंतर्गत इन चीजों की ki jati hai चोरी

Cyber crime ke अंतर्गत अपराधी aapke phone ya laptop ke software se apne software ko jod dete hain aur uske baad aapke business se judi sabhi jankari, bank ki jankari, koi bhi online fraud adi ko bhi अपराधी अंजाम dete hain.

Cyber crime ke tahat अपराधी aapki निजी पहचान tak chura lete hain aur isi अपराध ke tahat chhote bachchon ko bhi galat मार्गदर्शन प्रदान karte hain. In sabke alava kuch अपराधी aise bhi hote hain jo cyber crime ke tahat desh mein नफरत failane ka kaam bhi karte hain.

Cyber Crime me अपराधी अपराध karne ke liye kis चीज ka इस्तेमाल karte hai?

सामान्य तौर पर cyber crime ko अंजाम dene wale अपराधी computer ka istemaal karte hain jismein ve kuch गैरकानूनी तरीके se kuch logon ke computer aur unke software hack kar lete hain ya phir unhein track karke unke computer mein मौजूद sabhi jankari ko chura lete hain. Ve us vyakti ke bank account ki sabhi jankari chura kar unke bank se paisa tak ka gaban kar lete hain.

Cyber Crime के प्रकार

Aaj cyber crime ke baare mein hum aapko विस्तार se sabhi प्रकार ki jaankari pradaan karenge jisse aap jaan paayenge ki cyber crime hota kya hai aur iske kitne alag-alag prakaar hote hain.

हैकिंग

Hacking ek aisi प्रक्रिया hai jisme koi vyakti गैरकानूनी roop se kisi vyakti ki niji jankariyon mein बिना अनुमति ke घुस jaata hai. Uske liye kuchh अपराधी संस्था ethical hacker ko ढूंढते hain aur unhe kisi ek vyakti ke software ko hack karne ke liye पूर्ण jaankari प्रदान karte hain. Unke जरिए वे उनकी website ki security ko tod dete hain aur poora tarah se hack kar sakte hain. इसके अलावा वे unke social media access ko bhi hack karke unki पहचान ko istemaal kar sakte hain. इस crime ki sabse badi baat to yeh hai ki us computer owner ko bhi is baat ka pata nahin chalta hai ki koi hacker unke computer mein मौजूद sabhi prakar ki jankari istemaal kar raha hai aur unke hi naam se chal raha hai.

चोरी

Cyber crime के अंतर्गत चोरी bhi ki jaati hai. Ab aap सोचेंगे की ismein chori kaise kar sakte hain, to chaliye hum batate hain. दरअसल, cyber crime ke अंतर्गत यदि aap copyright adhikaaron ka उल्लंघन karte hue kuchh copyrighted films, games, software ya gaane download karke apne personal kaam ke liye istemaal karte hain, to use cyber crime mein चोरी kaha jaata hai. वे bina unke maalik ki अनुमति ke unke अधिकार ke अंतर्गत आने वाले sabhi un cheezon ko chura lete hain jo उन्होंने स्वयं banayi ho aur uske liye apne naam ka copyright khareeda ho. Ve अपराधी इस अपराध ko kar bhi lete hain aur un film aur game ke maalikon ko is baat ka pata tak nahin chalta hai. Yadi unko yeh pata lag jaata hai to ve iske khilaaf action lete hain, aur ise गैरकानूनी download maante hue cyber crime ke अंतर्गत दंडनीय mana jaata hai.

साइबर स्टॉकिंग

यह crime मुख्य रूप से social media par dekhne ko milta hai, जिनमे से Facebook, Instagram, email site आदि शामिल kiye jaate hain. Iske अंतर्गत अपराधी aise logon ko परेशान karte hain जिनमे या तो koi chhote bachche ho ya phir teenagers shamil ho. Unke saath hue अभद्र प्रकार ki chat karte hain ya phir unhe ulte-sidhe pictures bhi bhejte hain. Aise mein un बच्चों में jyaada समझदारी nahin hoti hai ki woh internet ka istemaal sahi prakar se kaise karen. Aise mein woh uska शिकार ho jaate hain aur samne wala अपराधी unhein baar-baar alag-alag ID se pareshan karta rehta hai aur unhein blackmail karta hai. Aaj ke samay mein yeh bahut aam baat ho gayi hai, परंतु यह cyber crime ke अंतर्गत aata hai. Yadi koi पीड़ित व्यक्ति iske खिलाफ report likhwata hai to तुरंत ही इस पर action bhi liya jata hai.

पहचान चुरा लेना

यह fraud un व्यक्तियों ke saath hota hai jo ek उच्च दर्जे par बैठते hain aur दिन प्रतिदिन unki sabhi prakar ki विभिन्न cash transactions bank ya unke client ke saath hoti rahati hai. Aise mein unka koi करीबी को koi jaankar व्यक्ति unke saath अपराध karta hai aur unke account se judi sabhi jankari ko चुपचाप chura leta hai. Phir unke bank credit card, ATM card adi ka number प्राप्त करने के बाद bhi uske bank account se paison ka गबन karta hai jiska खाताधारक ko pata bhi nahin chalta hai. Jabki yeh ek bahut bada cyber crime hai jismein खाताधारक ko bahut badi वित्तियात्मक स्थिति se गुजरना pad sakta hai.

सॉफ्टवेयर वायरस

Kuch software aur network aise hote hain jo dekhne mein to बेहद आकर्षित hote hain, परंतु yadi unhein apne phone ya computer mein download kar liya jaye ya phir unpar click kiya jaye, to uske jariye sarkar dwara aapke computer aur phone ko poore tarah se hack kar liya jata hai. Aise mein ve aapke computer aur phone ki संपूर्ण jankari prapt kar lete hain aur aapke sabhi accounts ka access bhi unhein mil jata hai. Yeh crime aajkal bahut hi aam dekhne ko milta hai jo cyber crime mein bahut bada अपराध hai.

साइबर स्पाइंग

Cyber spying ke अनर्गत kuch aise bade hotels ke bathroom aur kamre ke bedroom mein chupke se kuch छोटे-छोटे cameras laga diye jate hain. उन cameras mein un ladkiyon ke kuch ashleel photos aur videos record kar liye jate hain jo wahan par kuch der ke liye rukne aati hain. ऐसा ही कुछ shopping mall ya phir kuch garment ki dukaanon par bhi kiya jata hai कहा पर ladkiyan dress change karke apni fitting check kar rahi hoti hain. उनकी pictures और videos ko lekar un ladkiyon ko blackmail kiya jata hai jo ek cyber crime ka bahut bada दंडनीय अपराध hai.

सोशल मीडिया से फोटो चुराना

Cyber crime ke अंतर्गत kuch log aisa bhi karte hain ki किसी लड़की के social media account uske pictures ko chura lete hain और उन्ही pictures ko lekar ve un ladkiyon ko blackmail karna shuru kar dete hain. इस चीज का शिकार kai auratein, ladkiyan aur bachhe hote hain.

साइबर बुल्लयिंग

इनमें कुछ विभिन्न प्रकार के mamle dekhne ko milte hain जिनमें अपराधी ladke alag-alag jagahon ki ladkiyon ke saath social media ke jariye dosti kar lete hain. Dheere-dheere उनसे मेलजोल बढ़ाए के बाद भी unse sambandh banane ke liye जिद karte hain aur aakhir mein raazi bhi kar lete hain. अपराधी unke kuch अश्लील फोटो aur videos bana lete hain jinke baad unhein blackmail karna shuru kar dete hain. इसके अतिरिक्त ve unhein yeh धमकी भी dete hain ki ve unki यह तस्वीरे aur videos social media par upload kar sakte hain. Aise mein पीड़िता dar jaate hain aur koi galat kadam bhi utha lete hain. इसे cyber bullying kaha jata hai जिसके तहत अपराधी को दंड bhi diya jata hai.

भारत में cyber crime अधिक होने की वजह

Koi bhi अपराध tab janm leta hai jab hamein us अपराध se judi koi bhi jankari उपलब्ध nahi hoti hai. तो ऐसे में cyber crime ko aur adhik badhava milta hai aur kuch logon ko to yeh bhi nahi pata chalta ki woh cyber crime ka shikaar ho chuke hain. आज के समय में internet ka istemaal to pratyek vyakti bharpoor karta hai. परंतु cyber crime ke prati jagruk na hone ki wajah se cyber crime ka shikaar adhiktar mahilaen hi banti hain. भारत के आंकड़ों के अनुसार dekha jaye to Bharat ki ek tihaai mahilaen cyber crime ka shikaar ban chuki hai, jinmein se 35% mahilaen aisi hain jinhonne apne upar hue cyber crime ki shikayat darj karayi hai. इसके अलावा kuch mahilaen aisi bhi hain jinhonne ab tak apne upar hue cyber crime ki koi bhi shikayat kahin par darj nahi karayi hai, un ankadon ke tahat 46.7% mahilaen is ankade mein aati hain. चौंका देने वाली बात yeh hai ki 18.3% mahilaen aisi bhi hain jinke saath cyber crime hua hai lekin unhein is baat ka andaaza tak nahi hai. यह अपराध आज के समय में apne charan tak pahunch chuka hai aur iska sabse bada kaaran hai cyber crime ke prati jagruk na hona.

Cyber crime से बचने के उपाय

माना internet ke bina koi kaam nahin ho sakta hai, लेकिन sawadhani baraten bina koi kaam karna aapke liye hanikarak bhi sabit ho sakta hai. इसलिए niche diye gaye sabhi upayon ko yadi aap dhyan se padhte hue apne jeevan mein apnayenge to aap kabhi bhi cyber crime ka shikaar nahin ho payenge.

  • एक surakshit internet seva ka hi upyog करें – हम अक्सर free ka internet milte hi use istemal karne lag jaate hain jabki aapko yeh pata hona chahiye ki कोई भी free mein milne wali internet aapke liye hanikarak ho sakta hai. क्योंकि कुछ ऐसे WiFi bhi hote hain jinka istemal karne se aapke phone ki sabhi niji jankari chura li jaati hai. इसलिए सदैव किसी भी free milne wale WiFi suvidha se bachen.
  • मजबूत password ka upyog करें – सदैव apni niji jankariyon se judi sabhi applications mein ek majboot password lagayen. ऐसा नहीं होना चाहिए की aap apne ek hi password ko salon tak istemal karte rahe balki aapko apna password niyamit roop se badalte rahna chahiye ताकि कोई भी उसे crack na kar sake. इससे आप cyber crime ka shikaar hone se bach sakte hain.
  • अपने software ko update रखें – आपके साथ cyber crime se judi durghatna na ho, इसके लिए sabse महत्वपूर्ण hai ki aap apne operating system aur internet ke software ko poore tareeke se update rakhein. यदि आप अपने software ko niyamit roop se update rakhein तो कोई भी hacker aapke software se aapka koi bhi personal data nahin chura payega.
  • अपनी social media ki setting प्रतिबंधित रखें – आज के समय में social media har vyakti ki ek apni pehchaan hai. और सबसे बड़े cyber crime bhi social media ke jariye hi anjaam diye jaate hain. ऐसे में आपके लिए sabse महत्वपूर्ण yeh hai ki aap apne sabhi prakar ke social media accounts par poori tarah se apni jankari pratibandhit karke rakhein. सबसे महत्वपूर्ण बात यह है की apne social media account ki jankari sirf unhi logon ko dein jo aapke विश्वसनीय hain. कोई भी अनजान आदमी apke social media account mein dakhal hokar aapse judi jankari ka galat istemaal na kar sake, इसलिए apne account se judi sabhi jankari प्रतिबंधित karke avashya rakhein.
  • अपने बच्चों को internet ke bare mein बताए – आज के समय में cyber crime ke shikaar chhote-chhote bachche ban rahe hain क्योंकि उन्हें internet ke bare mein sampurna jankari nahin hoti hai, जिसकी वजह से वे jald hi bhatak jaate hain. ऐसे में acche mata-pita ka kartavya banta hai ki apne bachchon ko internet se judi sabhi jankariyan vistaar mein avashya samjhayen, ताकि उन्हें saath kuch bhi galat hone se pehle ve सतर्क ho sake.
  • अपनी website ka rakhein ध्यान – यदि आप एक vyapaari hain aur apni ek website chalate hain to apni website par poora suraksha ke saath setting karke rakhein. यदि आपको chhoti si bhi gadbad nazar aaye to turant apni website ka password badal dein.
  • अपनी निजी jankari social media par share करने से बचे – Aaj ke samay mein bade ho ya bade sabhi log khud se judi sabhi jankari social media ke jariye upload karte hain. Aise mein kuch stalkers aapki profile par dhyan rakhte hain aur aapko follow karne lagte hain. Apni koi bhi email ID aur kisi bhi prakar ki jankari social media par upload karne se aap kabhi bhi khatre mein pad sakte hain. Aap kis samay kahan par ja rahe hain aur kyun ja rahe hain, aisi koi bhi post apne social media account par share na karen taaki aap cyber crime se bach sake.

Cyber crime से पीड़ित होने के बाद क्या करना चाहिए?

  • Jaise hi aap ko pata chalta hai ki aap cyber apradh ke shikaar ho gaye hain, aise mein sabse pehle aapko dhairya se kaam lena chahiye.
  • Apne saath hui durghatna ke baare mein ghar mein maujood apne bado ko pooree suchana den taaki ve aapko sahi salah de saken.
  • Yadi aap samajh chuke hain ki aapke saath koi kuchh galat kar raha hai ya karne vala hai, toh aapko turant hi police ki madad leni hogi.
  • Cyber crime ke khilaaf report likhne ke liye har jagah par alag-alag police station banaye gaye hote hain jahaan par aap ki shikayat darj karne ke baad karyavaahi arambh kar di jaati hai.
  • Yadi aap apne bank se judee kisi bhi prakaar ki dhokhadhari kee jankari praapt karte hain toh turant apne bank se sampark karen aur unhein apne credit, debit aur anya card band karne ke liye arjee karen.
  • Apne social media account se judi koi bhi chori hone ki jankari aapko turant Facebook feedback ke jariye Facebook company tak pahunchani chahiye, taaki aapke account ka koi bhi galat istemaal na kar sake.
  • Iske alava yadi aapke saath koi aur dhokhadhari hoti hai aur saiber crime ke tahat rahe apradh hai toh uski jankari aap FTCCI tak pahuncha sakte hain, taaki vah turant aapke saath huye dhokhadhari par karyavahi arambh kar sake.

भारत में होने वाले Cyber Crime की मुख्य जड़

Jharkhand rajya mein sthit ek jile ka naam Jamtara hai. Is jile ko Bharat mein hone wale har cybercrime ka gunahgaar mana jata hai. Bharat ke ab tak 80 percent cybercrime hone ki wajah se is jile mein rehne wale logon ko mana jata hai. Aisa bataya jata hai ki Jamtara mein rehne wale in logon ne cybercrime ki shuruaat saal 2013 se ki thi. Yah logon ko ek phone call ke jariye thag liya karte the jiska pata police ko chalte hi ve is jile ke kai apradhion ko to giraptar kar chuke hain, parantu aaj bhi vahan par kuch log aise hain jo minuton mein aapke khate se paisa gayab karne mein mahir hain.

Jamtara ke rehne wale thag aapko call karke aapke account se jude sabhi details aapko baaton mein uljha kar prapt kar lete hain aur uske baad aapke bank account se paisa uda le jate hain. Unki thagi ka shikar aaj tak bahut bade-bade diggaj abhinetaji aur neta bhi ban chuke hain, jinmein Bollywood ke mahanayak Amitabh Bachchan, mukhyamantri Amarinder Singh ki patni, sansad Parnit Kaur, kendrai mantri, aur Kerala ke ek sansad adi.

Aaj ke samay mein cybercrime se bachna jitna aasan hai utna hi cyber apradh ko anjaam dena bhi aasan hai. Bas aapki chhoti si satarkta aapko cybercrime se bacha sakti hai. Isliye sadaiv internet se jude kisi bhi jankari ka istemal karne se pahle uske bare mein poori tarah se jaanch padtal avashya kar le. Aapki ek chhoti si galti aapko ek bahut bade jaal mein fansa sakti hai aur hamesha ke liye aapko barbaad bhi kar sakti hai.

Other Links –

Leave a Comment