DBT Govt Payment Kya hai, Full Form, Apply Online, Check Status, Labh

5/5 - (4 votes)

DBT Govt Payment kya hai, DBT full form, DBT Status check with mobile number, DBT ke liye application in Hindi, DBT ke labh, helpline number, official website, history.

Bharat sarkar hamesha se hi kisanon tatha aam logon ke hit ko dekhte hue alag-alag yojanaon ko uddhghatan karti rahati hain. Aise mein kendr sarkar mein DBT yojana ki shuruaat karke kisanon tatha aam logon ki badi samasya ka nivaaran kiya hai. DBT ke aane se kisanon ko bahut labh mil raha hai aur iske aane se kisan kaafi khush bhi hain. Chaliye aaiye jaante hai ki DBT Govt Payment kya hai, DBT full form, DBT Status check with mobile number, DBT ke liye application in Hindi, DBT ke labh, aur history ke baare mein aage visthaar se samajhte hain, aage jaroor padhe.

DBT Govt Payment Kya hai

DBT Govt Payment Kya hai

पोस्ट/आर्टिकल का नामDBT Govt Payment Kya hai
राज्यपूरे भारत में
किसने शुरू कीकेंद्र सरकार
कब शुरू की गयीजनवरी 2013
हेल्पलाइन नंबर011-2374 0714
आधिकारिक वेबसाइटhttps://dbtindia.gov.in/

Samay ki maang par Bharatiya Kendra Sarkar dwara January 2013 mein shuru kiya gaya DBT bahut hi upyogi sabit ho raha hai. Alag-alag Sarkari yojanaon se mil raha labh seedhe patra labhaarthi ke bank khate mein pahunchaya jana hi DBT Govt Payment kahlata hai.

DBT Govt Payment ke aane jaane se labhaarthiyon aur sarkar ke beech ke corruption kar rahe beech ke logo ko sarkar ke is yojana dwara khatm kiya jana sambhav hua hai. DBT Govt Payment dwara sarkar se seedhe labh labhaarthi ke khate mein jaata hai. DBT Govt Payment ke tahat lagbhag 300 se bhi jyaada yojanaen shaamil hai.

DBT Full Form (in Hindi)

DBT ka full form hai Direct Benefits Transfer aur Hindi mein iska poora naam hai “प्रत्यक्ष लाभ अंतरण“.

DBT Status Check with Mobile Number

DBT Status check with mobile number karne ke liye, aap neeche diye gaye steps follow kar sakte hain:

  1. Apne mobile ke messaging app (SMS) ko open karein.
  2. Message box mein “BAL” ya “STATUS” ya “CHECK” type karein aur uske baad ek space chhod dein.
  3. Apna 12-digit Aadhaar number (ya vo number jo aapne scheme ke liye register karne ke liye use kiya hai) type karein.
  4. Message ko apne state ke DBT helpline number ya central government ke DBT helpline number par bhejein. Helpline number scheme aur state ke anusaar alag-alag ho sakte hain. Aap scheme ke official website ya department ke customer care se helpline number pata kar sakte hain.

Jaise ki agar aap LPG subsidy ke liye DBT ki sthiti jaanna chahte hain, toh neeche diye gaye steps follow kar sakte hain:

  1. Apne mobile ke messaging app (SMS) ko open karein.
  2. Message box mein “STATUS” type karein aur uske baad ek space chhod dein.
  3. Apna 12-digit Aadhaar number type karein.
  4. Message ko apne LPG provider ke DBT helpline number par bhejein. Jaise ki agar aap Indane LPG ke customer hain, toh aap message ko 7738299899 par bhej sakte hain.

Aapko ek reply message prapt hoga jisme aapke DBT transfer ka abhi ka status hoga.

DBT ke Labh

Sarkar ki or se praapt sahayata ya milne waali raashi ab seedhe taur par bank ke khato mein jama ho rahi hai. Sarkar ki or se kayi tarah ki subsidy di ja rahi hai. Jo bhi subsidy di jaati hai, wo subsidy seedhe labhaarthi ke bank account mein transfer kar diye jaate hai. Iske liye sarkaari daftar ke chakkar kaatne ki jarurat nahin padti hai.

DBT Govt Payment ka yah uddeshya hai ki sarkar dwara praapt subsidy seedhe labhaarthi ke bank account mein transfer kiye jaane ko lekar pardarshita aaye aur labhaarthi bichauliyon aur dalalon ke chapet mein na aa paaye.

Dbt Govt Payment ek badaa faydaa miltaa hai ki ismein labhaarthi ke saath kisi tarah kaa koi fraud nahin hotaa hai. Kyunki labhaarthi ke khate mein sarkaar seedhe taur par paiso ka transfer karti hai. Jisse bichauliyon aur dalalon ki kisi bhi tarah ki koi bhoomika nahin hoti hai.

DBT ke liye Application in Hindi

  • DBT (Direct Benefit Transfer) portal par online application karne ke liye sabse pehle aapko DBT ki official website ko open karna hoga.
  • Website open hone ke baad aapko home page ki screen par ‘Panjikaran’ ke option par click karke ‘New Panjikaran’ ke option par click karna hai.
  • Jiske baad labharti se jude hui sabhi jankari fill karni hai. Kisanon ko suvidhayen pradan karne ke liye Kendra Sarkar ki yojanayen jinka fayda kisan le sakte hain.
  • Jankari fill karne ke baad zaruri dastavejon ko upload kare niche diye gaye Submit ke button par click karein.

DBT Required Documents

DBT Govt Payment History

Agar baat kare DBT Govt payment ke itihaas ki toh yeh DBT pehli yojana ki shuruat January, 2013 ko Bharat ke kuch chuninda shahron mein ki gayi thi. 6 January, 2013 ko Godavari jile ke Golpallu mein Bharat ke Kendriya Gramin Mantri rahe Jayaram Ramesh aur Andhra Pradesh rajya ke Mukhyamantri rahe N Kiran Kumar Reddy dwara is yojana ya pehli ki shuruat ki gayi.

Aapko bata du ki DBT ke shuruaati charanon mein kul 43 jilon mein hi is yojana ka labh dene ka pravadhan kiya gaya. Jisme keval samajik suraksha pension tatha chhatron ke chhatravritti seedhe bank mein dene ka pravadhan tha.

Lekin saal 2014 ke aakhir tak DBT yojana ko poore desh mein lagu kar diya gaya. Jisme yojanaon ki sankhya 2 se badhakar 34 anya sarkari labh dene wali yojanaon ke saath MGNREGA jaisi yojanaon ko bhi iske tahat laya gaya.

Aaj humne is article mein DBT Govt Payment kya hai, DBT full form, DBT Status check with mobile number, DBT ke liye application in Hindi, DBT ke labh, helpline number, official website, history ke baare mein samast jaankari aapke samaksh rakhi. Hum aasha karte hai ki aapko yeh article bahut pasand aayi hogi. Agar aapko yeh jaankari acchi lagi toh kripya ise jaroor share karein aur agar aapke man mein is article se sambandhit koi sawaal ya vichaar hai toh hume neeche comment karke aasaani se bata sakte hai.

DBT Govt Payment Kya hai FAQ

Q : DBT Govt Payment के लिए आवेदन कैसे करें?

Ans : आर्टिकल में बताए गए स्टेप्स को फॉलो करके आप DBT Govt Payment के लिए आवेदन कर सकते है।

Q : DBT Govt Payment कौन-कौन से विभागों द्वारा किया जाता है?

Ans : DBT Govt Payment कई विभागों द्वारा किया जाता है, जैसे कि किसान कल्याण योजना, महिला सशक्तिकरण योजना, जन धन योजना आदि।

Q : DBT Govt Payment का लाभ कौन-कौन से लोगों को मिलता है?

Ans : DBT Govt Payment का लाभ गरीब, किसान, महिलाएं, छात्र आदि समेत विभिन्न वर्गों को मिलता है।

ये भी पढ़े –

Leave a Comment