{100% Free} me Shark Tank Show me kaise jaye

4.3/5 - (6 votes)

Shark Tank Show me kaise jaye – Agar aapka bhi koi business hai, ya aap koi business ko shuru karna chahte hai, toh iske liye aapko funding ki zaroorat padti hai. Funding ke dwara hum apne business ko bade hi aasaani se kar sakte hai.

Ab agar aap business karne mein interested hai, toh aapne Shark Tank India ka naam toh zaroor suna hoga, jahan par hum apne business ko promote karne ke saath saath funding bhi prapt kar sakte hai. Shark Tank India ek aisa show hai.

Jahan par aapko funding ke saath saath khoob saara popularity milegi jo laakhon rupaye kharch karke kisi business ko nahi milta hai. Isliye aaj ke is post mein hum aapko Shark Tank India me kaise jaye ke baare mein puri jankari dene vaale hai.

Toh agar aap ek aise business man hai, jise apne business ko sahi roop se chalaane ke liye funding ki zaroorat hai, toh aapko is blog post ko bilkul ant tak padhna chahiye, kyunki is post mein hum aapko step by step batane vaale hai ki aakhir kaise aap 2023 mein Shark Tank India mein ja sakte hai.

Is post mein main aapko Shark Tank Show me kaise jaye ke baare mein sampurn jankari dene vaale hain aur aapko Shark Tank India mein jane ke liye registration ka complete process bataane vaale hai.

Shark Tank Me Kaise Jaye
Shark-Tank-Me-Kaise-Jaye

Shark Tank Show Me Kaise Jaye – 2023 

Agar aap bhi Shark Tank show mein jaana chahte hai aur apne business ke liye funding lena chahte hai toh chaliye iske registration ke steps ko samajh lete hai ki aakhir Shark Tank show mein jaane ke liye aapko kis prakaar registration karna hoga.

#1. sharktank.sonyliv.com website par jaye

Agar aap Shark Tank India mein jaana chahte hain to sabse pehle iski official website sharktank.sonyliv.com par jaakar online registration form bharna hoga. Yahaan par aane ke baad sabse pehle aapko apna mobile number daalna hoga.

Mobile number daalne ke baad aapke mobile number par 6 anko ka OTP aa jayega. Aap OTP daalkar neeche ke taraf aayenge toh aapko Captcha daalne ka option mil jayega. Aap Captcha daalkar submit ke option par click karenge.

Ab iske baad aapko apni bhaasha chunna hoga. Aap jis bhi bhaasha mein Shark Tank India Registration Form bharna chahte hain ussi bhaasha ko select karenge.

#2. Terms & Conditions ko Accept kare

Apni bhaasha chunne ke baad aapko Term & Conditions ko accept karna hoga lekin isse pehle aap Shark Tank India mein jaane ke liye jitne saare term and condition hai unhe achhi tarah se padhein.

Term & Conditions padhne ke liye aap Term & Conditions With Blue Line ko click karenge. Iske baad ek new tab mein Term & Condition ka page khul jayega, aap use achhi tarah se padhenge.

Uske baad, aap pichhle tab mein waapas jaakar “Shark Tank Show Terms & Conditions” ke saamne saare boxes choose kar lenge.

Phir aap “Submit” waale option par dobara click karenge aur aage badhenge.

#3. Profile Information bhare

Terms & Conditions ko padh kar Submit ke option par click karne ke baad, aapko apni profile information bharni hogi. Profile information mein aapko kya-kya bharna hoga iski jaankari is post ke neeche di gayi hai.

#4. Apne Business ki jaankari de

Apni profile information dene ke baad, aapko ab apne business ki jaankari deni hogi. Aapko batana hoga ki aakhir aap kis cheez ka business karte hain.

Shark Tank ki business form ko bharate samay aapse nimnlikhit details pooche jaate hain, jo is prakaar hai:

1: Business Stage

Shark Tank India ka registration form bharate samay aapko apne business stage batana hoga. Business stage ka matlab hai ki aap apne business se revenue kar rahe hain ya nahi.

For example, agar aap Shark Tank India mein sirf apna concept business ko lekar jana chahte hain, toh aap Concept Stage ko chunenge aur agar aap apne business se paise nahi kama rahe hain toh aap option 2 Prototype Stage Pre ko chunenge.

Lekin wahi agar aap apne business se paise kama rahe hai to Shark Tank India ka registration form bharate samay business stage mein aapko option 3 yaani Trending Stage Revenue Stage ko choose karenge.

2: Business Category

Business stage bharte ke baad aapko apne business category batana hoga.

3: Brand

Name Is option mein aapko company ka brand name daalna hoga ya aap chaahe to apni company ka naam bhi daal sakte hai.

4: Company Registered Name

Iss option mein aapko apne company ka registered name daalna hoga.

5: About Your Business

Company ka registered name daalne ke baad aapko apne company ke baare mein ek paragraph likhna hoga. Paragraph mein aapko apne company ke baare mein ek chhota sa introduction dena hai.

6: Executive Summary

Iss option mein aapko apne company ke baare pooree jaankaari deni hai. Jaise aapki company kya karti hai, aapke company mein kaisa product banta hai, aapke company logo mein kitna mashhoor hai, ityadi.

7: Website

Agar aapke company ka koi official website hai to aap website waale option mein apne company ke website ka URL de sakte hai.

8: Product Photo

Is option mein aapko apne company ke product ka photo upload karna hoga.

9: Last Three Month Revenue

Ismein aapko apne company ke antima teen mahine ke revenue ka vivaran dena hoga.

10: Reasons to go to the Shark Tank Show

Iska matlab hua ki kis kaaran se aap Shark Tank show mein jaana chahte hai.

In saare options ko bharte ke baad aap niche Submit ke option par click karenge.

#5. Required Investment ki jaankari de

Aapko apne business ke liye kitne paise chahiye. In sab cheez ki jaankari is vaale page par bharna hoga. Iske baad aapko yeh batana hoga ki is paise ke badle aap apne company ki kitne percent hissedari Shark Tank team ko dena chahte hain.

#6. Company Information bhare

Iss vaale page mein aapko apne company ke baare mein sampurn jaankari deni hogi jaise aapko company ka malik kaun hai, company ka founder kaun hai, aap iss business ko kab se chala rahe hain ityadi. Sab kuch bhare ke baad aap Next ke option par click karenge.

#7. Apne company ke baare mein Legal Information de

Ismein aapse poocha jaata hai ki kya aapke company par koi case ya kisi prakar ka mukadma hai. Iska jawaab aap “haan” ya “na” mein denge.

#8. Television Exposure ki jaankari de

Iss page mein aapse poochha jaata hai ki kya aapne pehle kabhi kisi TV show mein participate kiya hai ya nahi. Iske baad aapko poochha jaata hai ki kya aapne Shark Tank India Season 1 mein hissa liya tha. Iska jawaab aap “haan” ya “na” mein denge. Sab kuchh bharne ke baad aap “Next” ke option par click kar aage badhenge.

#9. Personal information de

Television Exposure ke baare mein batane ke baad aapko apni personal information deni hogi. Haalaanki yeh anivarya nahi hai, aap ise khali bhi chhod sakte hain. Iske baad aapse poochha jaata hai ki Shark Tank India Registration Season 2 ke baare mein aapko kahaan se pata chala. Sab kuchh bharne ke baad ab aap “Next” ke option par click karenge.

#10. Declaration de

Sabhi jaankari bharne ke baad aapko Declaration ko accept karna hoga. “Declaration” ka matlab yeh hai ki aapke dwara di gayi saari jaankari sahi hain. Agar koi bhi jaankari galat hai to uske jimmedaar aap honge. Iske liye aap niche Declaration ke saamne box ko tick karenge.

Iske baad finally “Submit” ke option par click karenge. Submit ke option par click karte hi aapka Shark Tank India Registration Season 2 complete ho jaayega.

Aur is tarah aap Shark Tank show mein ja sakte hain.

Shark Tank India mein registration karne ke baad kya kare?

Shark Tank India mein online registration karne ke baad ek list taiyaar kiya jaata hai, jismein unhi contestants ka naam hoga jo Shark Tank mein audition dene ke liye eligible honge. Eligibility ki jaankari email ya phone ki sahayata se di jaati hain.

Shark tank India Selection process

Shark Tank India ka selection process teen charnon mein hota hai.

Step 1

Audition ke pehle charan mein, Shark Tank India ki team aapse aapke tatha aapke vyavasaay ke baare mein bunyadi jaankari maangti hain. Yah charan hamein is baat ki ek jhalak deta hai ki aapka utpaad/vyavasaayik vichaar kya hai. Is charan mein saara kaam online hota hai. Yadi aap is charan mein chune jaate hain, toh aap aage badhte hain audition ke doosre step mein.

Step 2

Audition ke doosre charan mein, Shark Tank India ki team ko aapke vyavasaay ke baare mein vistaar se pata chalta hai. Is form ko bharaane ke liye aapke sabhi pramukh vyavasaayik metrics ke saath taiyaar kiya jaata hai. Is charan mein aap hamein 3 minute ka video bhi bhej sakte hain, jismein aap apne business idea ko seedhe Shark Tank India team ke paas pahuncha sakte hain. Yadi aapko is charan mein shortlist kiya jaata hai, toh aap aage badhte hain audition ka teesra aur antim Step.

Step 3

Audition ke teesre step mein, aapko Shark Tank India team ke dwara ek vyaktigat sakshatkar ke liye ek nishchit shehar mein bulaya jayega, jahan hamari team aapka aur aapke vyavasaay ka aakalan karegi. Yadi aapko is charan mein shortlist kiya jata hai, to aapko studio mein aamantrit kiya jayega.

Step three ko poora karne ke baad aap Shark Tank India show mein jaane ke liye select ho jaate hain.

Shark Tank registration fees

Shark Tank India ki registration fees 0/- rupaye hai. Shark Tank India ki team registration ke liye ek bhi rupaye charge nahi karti, aap free mein Shark Tank ka registration kar sakte hain.

Shark Tank India Season 2 Registration Important Date

Shark Tank Event
Name
Important Date
Announcement Of Season 2 Registration30 April 2022
Online Registration Started30 April 202
Last Date Of Registration For Shark India Season 2To be announced
Selected Entrepreneur ListTo be announced
Audition dateTo be announced

shark tank India judges’ name

S. NoShark Tank Judge                     NameCompany Name And PositionNet Worth
01Ashneer.     GroverMD and Co-Founder  of BharatPe$70-100 Million
02Anupam MittalFounder & CEO of People Group$70 Million
03Aman GuptaCo-Founder & CMO of BoAt $100 Million
04Vineeta SinghCEO & Co-Founder of SUGAR Cosmetics$8 Million
05Namita ThaparExecutive Director at Emcure Pharma$4 Million
06Ghazal AlaghCo-Founder & CIO of Mamaearth$25-35 Million
07Peyush BansalFounder & CEO of Lenskart.com$80 Million

Important Link For Shark Tank India Online Registration Season 2

Link
Name
Important Link
Shark Tank Official Registration Websitesharktank.sonyliv.com
Homepage LinkBNHBTV
BlogPost LinkShark Tank Show

Shark Tank India Kya hai?

Main aapko bata doon ki Shark Tank India Sony Television Pvt, Ltd ka ek popular TV show hain, jo American Business Reality Show “Shark Tank” ke jaisa hain, is show mein entrepreneurs ko investors ya shark ke ek panel ke liye business presentations dete hue dikhaya jata hai, jo yeh tay karte hain ki unki company mein invest karna hain ya nahi.

Aapko kaise pata chalega ki Shark Tank India aapka selection ho gaya hain?

Shark Tank India ki team aapke details ko acche tarike se adhyayan karegi. Iske baad ek shortlist taiyar kiya jayega aur agar aap Shark Tank India mein select ho jate hain, toh aapko email, phone, message ke madhyam se suchit kar diya jayega. Aap shortlist ko Shark Tank ki website par bhi dekh sakte hain.

Ye bhi Padhe –

Shark Tank Online Registration Season 2 – Video Guide



Conclusion

Aasha karte hain ki yeh post Shark Tank Show Me Kaise Jaye: Shark Tank Online Registration Season 2 bahut pasand aaya hoga. Humne is post mein “Shark Tank India” mein registration karne ki complete information di hai.

Iss post mein Shark Tank Online Registration Season 2 ke baare mein apni raay comment box mein zaroor batayein. Hum is post ko samay-samay par update karte rahenge. Isliye, aap hamare blog par daily visit karte rahein.

FAQ – Shark Tank Show Me Kaise Jaye

Audition kahan honge?

Shark Tank ke website se online application karne ke baad, Shark Tank ki team aapse khud sampark karegi aur usi samay aapko batayegi ki aapka audition kis shehar mein hoga. Adhiktar samay Shark Tank India ka audition Mumbai mein hi hua hai.

Meri aayu 18 varsh se kam hai lekin mere paas ek business idea hai jise main Shark Tank India ke show mein prastut chahta hoon, main yeh kaise kar sakta hoon?

Agar aapki umr 18 saal se kam hai toh aap Shark Tank India mein aavedan nahi kar sakte. Lekin, yadi aapke mata-pita/abhibhavak sahmat hain, toh aap is show mein jaane ke liye online registration kar sakte hain. Lekin aapko audition dete time aur suit ke time bhi apne abhibhavak ke saath aana hoga.

Maine ek vishesh number ke saath panjikaran kiya hai lekin vah number ab active nahi hai. Kya mujhe naye number ke saath phir se panjikaran karna hoga?

Haan. Aapko naye mobile number ke saath phir se panjikaran karna hoga. Aur iske liye aap Shark Tank ke official website par jaakar mobile number ko change karna hoga. Kyunki mobile number ke madhyam se aapko Shark Tank show se sambandhit sabhi update diya jata hai.

Shark Tank India ko online dekhe

Shark Tank India show ko aap Online Mx Player par bilkul free mein dekh sakte hain.

Leave a Comment