Snapchat Delete Photo Recovery Kaise kare [2 New Ways 2023]

5/5 - (3 votes)

Snapchat photo click karne ke liye upyog kiya jaane lokpriya app hai, waise toh yeh ek Social Networking Platform hai, lekin adhiktar log is app ka jyada upyog Photo Capture karne mein karte hai, Snapchat Delete Photo Recovery Kaise kare iske baare mein search kar rahe hai, toh yahan par Snapchat ki delete photo dekhne ka tarika hi batane wala hu, Snapchat se capture kiye photo snap kahlata hai.

Aur is app mein bahut saare acche filters mil jaate hai jinse ki behatarin snap click kar sakte hai, kabhi kabhi galti se Snapchat se Snap delete bhi ho jaate hai, lekin inko recover kiya jaa sakta hai aur iske liye aapko third-party app ya site ka upyog bhi nahi karna hota, balki Snapchat mein hi iske liye option mil jaata hai.

Snapchat Delete Photo Recovery Kaise kare

Snapchat Delete Photo Recovery Kaise kare [2 New Ways 2023]

Snapchat Delete Photo recovery karne ke liye Cache Files aur My Data vaale dono tareeko ke baare mein batane vaala hu, jinmese kisi bhi method ka upyog kar sakte hai, Android mobile mein cache memory hoti hai, jisme apps ke file bhi hoti hai, agar aapke mobile ka koi bhi data photo, video, document adi delete ho jaate hai to unko waapas laa sakte hai ya recover kar sakte hai.

Aapne dekha hoga ki jab aap kisi App Management mein kisi app ko dekhte hai, toh wahan par Cache Clear karne ke liye bhi option hota hai, yeh Cache File hoti hai jo aapke device mein Android Folder mein store hoti hai, Snapchat Delete Photo Recovery karne ke liye is tarike ka upyog kiya jaa sakta hai, aur isse aap apne Snapchat account se delete hui photo ko waapas laa sakte hai, aur iske liye aapko kisi doosre File Manager app ka upyog bhi nahi karna balki apne mobile ke hi file manager app ko upyog kar sakte hai.

1. File Manager se Snapchat Delete Photo Recovery Kaise kare?

  • Apne Phone mein File Manager App ko open kare, iske baad aapko Photo, Video, Audio aadi bahut saare categories dikhne lagege, aur neeche Phone Storage aur SD Card wale options dikhenge.
  • Inmese jis bhi Storage mein aapka data store hota hai, uspar click kare, waise to sabhi logo ke mobile mein Phone Storage mein hi data store hota hai aur bahut se log SD Card ko device mein use nahi karte hai, isliye Phone Storage wale option par click kare.
  • Iske baad yaha par bahut se Folder dikhne lagege, aapko Android wale Folder par click karna hai.
  • Phir yaha par com.snapchat.Android naam ka Folder dikhenge, is Folder par click kare Iske baad yaha par Cache Folder par click kare.
  • Abhi aapko received_image_snap naam ka Folder dikhenge, is folder par click karke apne saare Snapchat Deleted Photo ko dekh sakte hai aur unki Recovery bhi kar sakte hai.

2. Snapchat Delete Photo Wapas Kaise laye?

  • Snapchat ko open karne ke baad apni profile icon par click kare, iske baad Setting waale option par click karde.
Snapchat Delete Photo Wapas Kaise Laye
  • Yahaan par neeche ki taraf scroll karne par aapko My Data waala option dikhayi dega, is option par click kare.
Tap on My Data option
  • Phir aapse dobara apne account se login karne ke liye kaha jayega, apna Snapchat username aur password enter karne ke baad Log in wale option par click kare.
Snapchat Delete Photo recovery karne ka tarika
  • Iske baad aapko My Data mein bataya jayega ki aapke Snapchat Data mein kya kya rehta hai, aapko yahan par Confirm Email Address wale option mein dobara apna Email Address likhna hai, aur iske baad Submit Request par click kare.
  • Aapke Snapchat account ka jitna bhi data hai uski file banana start ho jayega, aur jab ye file poori tarah se bana jayegi to Snapchat ke dwara aapko 24 hours tak ek data ko download karne ke liye link milega, jisme aapki deleted photo bhi hogi.
  • Iske baad apne Email address ko Gmail mein open kare, yahan par Snapchat App ki taraf se mail aaya hoga, us mail ko open kare, yahan par Click Here to access Data likha dikhega, aapko Click Here wale option par click kar dena hai.
  • Phir Snapchat App open ho jayega aur Your Data Is Ready wala option dikhne lagega, My Data naam ki Zip Files dikhenge, ispar click karke is file ko apne device mein download kar le.

Abhi aapne apne account ke data ko download kar liya, lekin apni Snapchat Delete Photo wapas laane ke liye ya dekhne ke liye aapko is Zip File ko extract karna hoga.

Open My Data File (Extract Zip File)

  • Apne mobile mein File Manager ko open karne ke baad Download folder wale option par click kare, yahan par aapko Snapchat my Data ki Zip File dikhenge, is par click kare.
  • Iske baad Extract All wale button par click kare.
  • Yahan par Extract to Download aur select Folder yeh 2 option dikhenge, jinmese aapko Extract To Download par click kar dena hai, iske baad agar aap file ka naam badalna chahte hain toh uska naam bhi badal sakte hain, phir Right Mark Icon par click karde.
  • Iske baad aapki My Data ki Zip extract ho jayegi aur folder mein dikhne lagengi.
  • Is My Data folder ko open karne ke baad Index.html par click karke apna saara data dekh sakte hain aur isme Snapchat Deleted Photo bhi hogi, jinko aap Restore kar sakte hain.

Snapchat Delete Photo Dekh sakte hai kya?

Snapchat ki delete ki hui photo ko dekhne ke liye app mein koi option bhi hai jisse ki aap apni delete ki hui Snap ko dekh sake, lekin isme aapko “My Data” wala option milta hai, jisme apni sabhi memories, chat, pictures aadi ko dekh sakte hai, aur isme aapko delete ki hui photo bhi dikh jaati hai, yaani ki “My Data” ko download karke aap apni Snapchat deleted photo ko dekh sakte hai.

Iske liye aapko koi bhi form ko nahi bharna hota hai, sirf aapko apna email verify karna hota hai. Dhyan rakhe ki aap apna Snapchat data tabhi download kar sakte hai jab aapka email Snapchat mein add hota hai, kyunki aapka jo email Snapchat mein rahta hai, usi par iske data file ko download karne ka link aata hai. Isliye Snapchat app mein check karein ki aapka email joda hua hai ya nahi, aur agar Snapchat app mein email nahi joda toh aapko pehle is app mein apna email add karna hoga.

Conclusion

Snapchat Delete Photo Recovery kaise kare, agar aap Snapchat app ke photo ka backup lete hai, yani ki apni mobile gallery me snaps ko save karte hai to unko aasani se recover kar sakte hai kyunki mobile gallery se jab kisi photo ko delete kiya jata hai to wo permanently delete nahi hoti hai balki trash folder ya recently delete me rehti hai jise aap kabhi bhi dekh sakte hai.

Dosto Snapchat Deleted Photo Recovery Kaise Kare iske bare me jaankari acchi lagi to ise apne doosre dosto ke saath bhi share kare aur aisi social media se related post padhne ke liye hamari site par visit karte rahe.

FAQ

Q: Snapchat kaun se desh ka hai?

Ans: Snapchat app ko America ki ek company Snap Inc ne banaya to iska seedha sa matlab hai, Snapchat ek American app hai.

Q: Snapchat mein kitne filter hote hain?

Ans: Halaanki do prakar ke filter hain, jo Snapchat dwara saamanya photo ko Geo-Filter ko jodne ke liye banaye jaate hain.

Q: Snapchat delete photo recovery kaise kare?

Ans: Snapchat delete photo recovery karne ke liye aap is post mein diye gaye steps ko follow kar sakte hain.

Ye Bhi Padhe:

Leave a Comment