Peshab Kand Kya hai?

5/5 - (5 votes)

Sidhi Peshab Kand Kya hai – MP ke ‘Sidhi’ se ek sharmnak ghatna samne aayi hai, jahaan ek adivasi vyakti par peshab karne ke mamle mein aaropi Pravesh Shukla ko Mangalvaar ki der raat police ne giraftaar kar liya hai. Vahi aaropi par NSA ke tahat mamla darj kiya gaya hai. Iske saath hi aaropi ke ghar atikraman par bulldozer chalane ki bhi tayari ki ja rahi hai.

CM ne diye the sakht karravai ke nirdesh

Peshab Kand Kya hai

Ghatna ka video social media par viral hone ke baad logon ne pradesh ke Mukhyamantri Shivraj Singh Chouhan se sakht karravai ki maang ki thi, jiske baad CM ne mamle ko sanjhaan mein lete hue kaha ki unhone prashasan ko nirdesh diye hain ki aaropi ko giraftaar kar kadi se kadi karravai ki jaye aur NSA bhi lagaya jaye. CM Shivraj Singh Chouhan ne kaha – “Maine aaropi ko kadi se kadi saza dene ka nirdesh diya hai. Yah har kisi ke liye ek naitik sabak hona chahiye. Hum use nahi chodenge. Aaropi ka koi dharm, jaati ya party nahi hoti… aaropi to aaropi hota hai.”

Vahi, is ghatna ko lekar Madhya Pradesh ke Grih Mantri Narottam Mishra ka kehna hai ki aaropi (Pravesh Shukla) ko kal raat giraftaar kar liya gaya. Vah hawalat mein hai, aur uske khilaf sakht karravai ki gayi hai. Mukhyamantri Shivraj Singh Chouhan ne kaha hai ki uske khilaf NSA darj kiya jayega. Unhone kaha ki sube mein BJP ki sarkar hai, yahan kanoon ka raj hai mamle ki jankari milte hi turant karyavahi ki gayi.

Toh chaliye janate hai Peshab Kand Kya hai.

Peshab Kand Kya hai?

Sidhi Peshab Kand Kya hai

Gaurtalab hai ki MP ke ‘Sidhi’ se ek video viral ho raha hai, jismein ek shakhs garib, aur besahara adivasi shakhs ke upar peshab karte hue cigarette phoonkte nazar aa raha hai. Aaropi ki pahchan Pravesh Shukla ke roop mein hui hai, jo BJP vidhayak ka pratinidhi bataya ja raha hai. Halanki, BJP vidhayak Kedarnath Shukla ne aaropi ke vidhayak pratinidhi hone se inkaar kiya hai. Ghatna ki jankari police ko milne par BJP neta Pravesh Shukla ko Kuberi gaon ke Khairahawa se giraftaar kar liya gaya hai. Police ne aaropi ke khilaf dhara 323, 123, 294, 506 IPC aur NSA ke tahat mamla darj kar diya hai.

Leave a Comment