Zomato kya hai isse paise kaise kamaye | Zomato App review in Hindi

5/5 - (1 vote)

Zomato kya hai, paise kaise kamaye, khana kaise beche, delivery boy kaise bane, salary, registration, eligibility, requirements, benefits.

Zomato Kya Hai Hindi: Aajkal traditional market ka sthaan e-commerce le raha hai. Bana banaya khana Zomato aur Swiggy jaisi companies ghar baithe aapko deliver kar rahi hain. Aap ya aapke friend circle mein kayi log in companies se khana order bhi karte hain. Magar kya aap jaante hain Zomato app se food order ke saath saath paise bhi kama sakte hain.

Bilkul doston hum baat kar rahe hain Zomato se paise kaise kamaye. Bahut se log jaankaari ke abhaav ke kaaran aisa nahin kar paate hain. Magar aapko yahaan Zomato se paise kamane ke saare tarike ke baare mein vistaar se batayenge.

Aap humare saath article ke ant tak bane rahe. Hum jaanenge ki Zomato app kya hai aur Zomato se paise kamane ke genuine tarike kaun kaun se hain.

Zomato kya hai isse paise kaise kamaye | Zomato App review in Hindi

Zomato kya hai (What is Zomato in Hindi)

India ke saath saath duniya ke 24 deshon mein khana delivery ki service dene wali Zomato ek vishvasniya company hai. Jo grahakon ko ghar baithe order dene par apne pasandida restaurant se bhojan muhaiya karwati hai. Haal hi ke varshon mein isne bahut adhik lokpriyata bhi payi hai.

Deepinder Goyal ji ke dwara varsh 2008 mein Zomato ki neev rakhi gayi thi. Jaise jaise samay beet ta gaya isne logon ke beech apni ek paith banai aur nateeje mein hum dekhte hai ki Zomato aaj Bharat ki sabse popular food delivery website ban chuki hai.

Zomato company ka headquarters Haryana ke Gurugram mein hai. Company ke hazaron employees food delivery boy ke roop mein rozgar paate hain. Zomato ichhuk aur yogya logon ko delivery boy tatha food supplier ke roop mein acchi kamai karne ka mauka deti hai.

Zomato App Review in Hindi

Company NameZomato
Business CategoryOnline Food Delivery
FounderDeepinder Goyal
HeadquarterGurgaon Haryana India
Established Year2008
Service AvailableIndia ke 63 cities me & duniya me 24 deshon me

Zomato Se Paise Kaise Kamaye

Zomato App ke dwara paise kamane ke mool roop se 2 tarike hain. In 2 tarikon ko jante hai jo iss prakar hai –

  1. Zomato pe delivery boy banke paise kamaye
  2. Zomato pe khana beche aur paise kamaye

Zomato ki tarah Swiggy se bhi in do tariko se kamai ki jaa sakti hain. Ab hum dono tariko ke baare mein baari baari se vistaar se jaanenge.

Zomato Delivery Boy Banke Paise Kaise Kamaye

Zomato apne customers ke food order ki ghar ghar jakar supply karti hai. Iske liye unhein delivery boy ki zaroorat padti hai. Agar aap Zomato pe delivery boy bankar paisa kamana chahte hain toh aapke paas delivery ke liye bike athava vehicle ka hona pehli zaroorat mana jaata hai.

Part time delivery boy ka kaam karke masik roop se 15 se 20 hazar ru ki kamaai ki jaa sakti hain. Wahi aap full time job ke liye Zomato ke delivery boy banana chahte hai toh masik 30 se 40 hazar ru ki kamaai kar sakte hain.

Zomato ke delivery boy banne ke liye kuch formalities aur nirdharit criteria ko pura karna padta hai. Delivery boy ban jaane ke baad company ki or bike ke liye petrol aur mobile recharge ka kharch bhi milta hai. Article mein aage hum jaanenge ki Zomato delivery boy kaise bane.

Zomato Delivery Boy Requirements

Agar aap Zomato delivery boy banna chahte hai toh aapko kuchh documents aur devices ki avashyakta padegi, unka vivaran is prakaar hain:

  • Motorcycle
  • Driving Licence
  • Aadhar Card
  • Smartphone
  • Bank Account
  • 10th Pass Marksheet
  • Passport Size Photo

Zomato Delivery Boy Registration Kaise Kare

Ab baat aati hai Zomato Delivery Boy banne ke liye kya karna padta hai. Zomato delivery boy banne ki request dene ki ek aasaan process hai jo prakar hain:

  • Aap apne shehar kasbe mein sthit Zomato ke sthaaniya office/mukhyaalay mein upar bataye gaye dastavez lekar jaayein.
  • Unke office se aapko ek joining form milega use fill karein.
  • Joining form ke saath apne dastavez jod kar use submit kar dijiye.
  • Yahan se dastavez jama karane ke pashchat aapko interview call milegi.
  • Jab Zomato ki or se interview call aye tab bataye gaye sthan par aapko jana hai.
  • Agar aap interview mein select ho jayenge to aapko delivery boy ki training ke liye bheja jayega.

Is tarah aap avedan se interview aur phir training ke charan ko poora karke Zomato delivery boy naukri arjit kar khub paisa kama sakte hain.

Zomato Delivery Boy Salary

Zomato mein delivery boy ko milne wali salary kayi factors par nirbhar karti hain. Company apne delivery man ko order sankhya ke aadhar par hi bhugtan karta hain. Prati order milne wali rashi delivery ki doori par nirbhar karti hain.

Delivery boy ko amooman pratyek delivery par 40 se 80 ru milte hain. Iske alava mobile recharge aur petrol kharch bhi company deti hain. Company apne karmachari ko teen shift ka offer karti hain. Morning, evening aur night.

Aap Zomato ke delivery boy ke roop full-time athva part-time job chahte hai yah aapki ichha par nirbhar karta hain. Ausatan ek full-time delivery boy 20 se 30 hazaar ru tatha part-time delivery boy 10 se 15 ru ki kamai kar sakte hain.

Zomato Delivery Boy Benefits

  • Aap apni suvidha ke anusar time shift ka chunav kar sakte hain.
  • Zomato company petrol tatha mobile recharge kharch bhi deti hain.
  • Agar aap full-time job nahi kar sakte hain to part-time job select bhi kar sakte hain.
  • Aapki kamai aapke order par nirbhar karti hai. Aap rozana jitni chahe utni kamai kar sakte hain.

Zomato Join Kaise Kare

Zomato mein Delivery Boy ke alava kayi anya post ke liye bhi apply kiya ja sakta hai. Example ke liye Sales Executive, Product Marketing, Web Designing, Technical Helper, Finance and Accounting ki post par apply kar sakte hain.

Aap Zomato ke local head office mein jaakar vacancies ka pata kar sakte hain. Company apne vacancies ke liye aavedan ka notification samay-samay par video ad, samachar patro ke jariye vigyapan prasarit bhi karti hain.

Zomato pe khana kaise beche

Zomato se paise kamane ka doosra tarika hotel, restaurant malikon ke liye hai. Agar aap koi bhojanalay chalate hai aur aapke kshetra mein Zomato sevayen de raha hai to aap apne restaurant ko Zomato par register kar sakte hai.

Zomato ke saath bhojanalay ke registration ke pashchat jab koi user aapke restaurant se food order karega to Zomato ka delivery boy aapke paas pahunch jayega.

Delivery boy jab grahak tak bhojan pahuncha dega to aapko kamai ka hissa bank khate mein automatic prapt ho jata hai. Agar aap koi restaurant chalate hai to kuch sharton ko poora kar Zomato ke saath jud sakte hai jo is prakar hai.

Zomato Pe Restaurant Bechne Ki Eligibility

  • Apke restaurant ya dhabey ka ek naam avashya hona chahiye.
  • Restaurant FASSI se registered hona chahiye.
  • Ek bank account hona chahiye.
  • Khud ka GST number hona chahiye.

Zomato Restaurant Registration Kaise Kare

Zomato Restaurant register karne ka ek samanya process hai jo is prakar hai.

  • Sabse pehle Zomato Business App ko install karke apna account bana lijiye.
  • Ab ek form open hoga jismein aapke restaurant se judi kuch basic details bharni hoti hai use bhar de.
  • Form fill karne ke paschat use submit kar de.
  • 48 ghante ke bhitar Zomato ki taraf se ek call aayegi aur aapki jankari ko verify kiya jayega.
  • Jab Zomato team aapki details ko verify kar degi, toh aapka Zomato par business registration ka process poora ho jayega.

Read Other

Ummid karta hu friends Zomato kya hai isse paise kaise kamaye | Zomato App Review In Hindi ka yeh article pasand aaya hoga. Humne Zomato food delivery company kya hai tatha iski madad se paise kaise kama sakte hai iske baare mein baat ki hai.

Delivery boy ban kar tatha apne restaurant ko Zomato par register karke paise kamane ke tarike ke baare mein jaana hai. Agar aap is tarah ke kamai ke ideas padhna pasand karte hai toh apne is blog ko regular visit karte rahe.

Leave a Comment